Pages

Monday 6 August 2012

“They always say time changes things,
but you actually have to change them yourself.”

Saturday 19 November 2011

mere saas ho tum......

namastey mere pyare dost,
apna name isliye nahi bata rahi hu kyuki,naam se badhkar kaam hota hai,aap meri baat nahi samajh rahe honge,main aapko ek kahani nahi hakikat batati hu,kyuki ek insaan hi dusre insaan ki pareshani samajh sakta hai,chahe woh ladka ho ya ladki, main ek ladki hu, maine jiwan me bahut utaar chadhaw dekha hai,shayed hamare jiwan me her chiz arth ke saath aata hai,main nahi janti kyu?lekin sab kuch apne swayam ke arth hai,main ek madhya vargiya pariwar sai hu,mera ek sapna tha,jo unke sapno ko dikhana chahti thi,unke liye jeena chahati thi woh log jinke duniya me koi na ho (anath),besahara woh bujurg jo apno ke tiraskar se road me pade ro rahe hai,tadap rahe hai,humare bhai- behan ke tarah chote chote bacche bhuke pyase karha rahe hai,woh maa ki mamta pane ke liye taras rahe hai,
vastav mae gareeb ke sapne yehi hai,maine apni aur garibiki zindagi bariko se dekha hai aur yeh bahut bar mere samne ho raha hai, sirf maine nahi hum sab nai dekha hai, kaise bikhari sirf do bar khana khane ke liye beekh magte hai, aur woh nahi mila to kaise ek kaagaz kichad aur polythenes ke banayi ashram me rehte hai,yeh dekh kar mujhe apne upper bahut gussa aata hai,jee karta hai ki marjau,itni kamjor to nahi hu,par unke dukh dekhkar main vichlit ho jati hu,aisa nahi hai ki maine mehnat nahi ki,who sab kiya jo mujhse banta hai, raaste padhe besahara logo ke liye apne imcome se khana khilati hu,par 2-4 din khilane se kya hoga?woh bhi kuch logo ko na jane kitne aise gareeb hai, anath hai……….

mera sapna tha un bachho ko padhana jo garib nahi garibi jhel rahei hai,socha tha ek sanstha kholungi unhe padhaungi unki jarurat ko pura karungi,par pata hai logo ne mujhe kya kaha,yai ek paisa kamane ka jariya hai,yeh to ek acha business hai,ek uncle the bole hum ne dekha hai duniya beta kis tarah se log sanstha ke naam par paisa lutte hai,aur woh besahara bacche jaise the waise hai,yeh to humare sarkar ko sochna chahiye,hum jaise logo ko nahi,tum ek ladki ho kaha yeh woh soch rahi ho,main chup chap ghar aa gayi ,aankhein itni bhar aayi thi ki room band karke main bahut royi,har baar ki tarha aaj bhi wahi baat dil ko chubhi ki main ladki hu, aaj issi vajah se,woh samay aaya ki main khud ko itna dur pa rahi hu,jaise zameen se chand dekh rahi hu,main akeli hu, na dost na padosi, koi bhi mere saath khada nahi hona chahta,ek din maine socha roj na sahi kuch din garib ka pait bharke main sukoon to feel karti hu,lekin mera dil ko yeh bhi bahut kam tha,main chal padi rastein me padhey ek-ek bachhe se baat karte maine kai din bitaye,fir ek din maine 11 bache ko ek park main bulaya,phir maine un sab ke ghar ki haalat janney ki koshish ki unka dard bahut marmik tha , sunker bahut dukh hua shayed aap bhi sunte to aap ki aankhein bhi bhar aate,hum roz milne lage bahut baatein karne lage,duniya me paise se badhkar khushi hai ,khoyi huyi woh hasi humare aas paas nazar aane lagi thi,ek ghanta baat karte fir woh apna bheekh maangne ka kaam karte main office chali jati, ek din maine unke liye thodi bahut shopping ki thi, un sab ko bahut pasand aaya,maine pucha tum padhayi karna chahte ho?kissine ne kaha “haan” kisi ne kaha “naa”? jawab kyu puchne par bole main akela/akeli nahi hai , humare 5-6 bhai-behan hai, mummy-papa nahi padhne denge khana bhi kam padega,padhne ki icha kise nahi hoti didi?maine kaha suno mere bhai-behan main bhi itni amir nahi hu ,par padhi likhi hu,main tumhe yehi par class de dungi , jo 1ghanta baat karte hai , aaj se padhayi karenge,jisse tum log padhna-likhna seekh jaoge,sabhi bachhe bahut khush huye,sirf 5 din hi maine unko padhaya ,4 aurat bhin-bhunate huwe meri taraf badhi samne aaker mujhe ghurne lagi,maine pucha kya huwa?Gusse se aankhein lal banakar apne bethe huwe 5 ladko ko marne lagi,ek aurat ne ek chota sa bachha gaud me liye aai thi usne apne baachhe ko zameen pe rakha aur mere saath bethi ladki ko bahut mara,maine rokne ki bahut koshish ki par main naakaam rahi,bachhe ek-ek karke waha se bhagne lage,main rote huwe un auratoan se puchne lagi ki aap ne aisa kyu kiya? Toh who Chillane lagi kyu pooch rahi hai chori ? woh humare bachhe hai, hum jo bhi kare ,tu kaun hoti hai puchne wali,ab samjh aaya bachhe aajkal ja kaha rahe hai aur pehle ki tarha kama kyu nahi rahe hai, ab samajh aaya yeh sab ki wajah yeh chori hai,kyu humari roji-roti pe laat maar rahi hai? Bata de rahi hu ,aaj ke baad dekha to acha nahi hoga…….badhi aai madam banney, padhayi ke bahane bachhe se paisa leti hogi,aaj to inki shamat aayegi shyam ko ghar to aaye , kehkar waha se nikal gayi,main rote huwe, jaha thi wahi ke wahi reh gayi,main roz unse milne park pahuch jaati thi lakin aaj 3 month ho gaye , aaj tak unse main nahi mil pa rahi hu,main unko bahut miss karti hu, itna ki woh mere liye meri saas ban gaye ho,

Tuesday 8 November 2011

Apne sapne ko hakikat ki jamee dena
in pathrai aankho ko thodi si nami dena
dena karm ko dhan se adhik pardhaanta
dushto ko dena dand aur apno ki mitana agyaanta..